
Gulbarga ke Ward No. 4 mein Ali Masjid ke Nawjawano ki Shaandar Blood Donation Camp bana Insaniyat aur Ekta ki misaalGulbarga, 13 July:Ward No. 4 ke Ali Masjid Nawjawaan Group ki taraf se ek kamiyab aur shandar Blood Donation Camp ka inaqaad Al-Israr Function Hall mein kiya gaya. Is camp mein ilaqe ke nawjawaano ne badi tadaad mein shirkat karke apna khoon donate kiya aur insaniyat ki behtareen misaal pesh ki.Yeh camp asal mein Moharram ke shahaadat wale din rakha jaane wala tha, lekin us din log roza rehte hai, is wajah se samajhdari ka muzhira karte hue isse 13 July ko mun’aqid kiya gaya. Yeh faisla na sirf mo’tabar sabit hua, balki camp ko kaamyabi bhi mili.Is mauqe par Ward No. 4 ke Corporator aur mashhoor social worker Janab Riyaz Ahmed Sahab ne tashrif laake nawjawano ki hausla afzai ki. Unhone Ali Masjid ke nawjawano ki gulposhi ki, shaal poshi ki aur dil se sab ka shukriya ada kiya jo is khidmat ke kaam mein shamil hue.Riyaz Ahmed sahab sirf ek elected Corporator hi nahi, balki ek aise fardi shakhsiyat hain jo saalon se lagataar social work mein masroof hain. Chahe kisi ghareeb ki madad ho, kisi mareez ka ilaaj, ya mohalle ki taraqqi – har maqam par unki mehnat aur wafadari logon ke dil mein unko maqbool banati hai.Aaj bhi wo kaafi khush nazar aaye ke Ali Masjid ke nawjawaano ne ek qabil-e-tareef kaam anjaam diya jo auron ke liye misaal ban gaya.Is camp mein shirkat karne walon ko Blood Donation Certificates bhi takseem kiye gaye, jo unki insani khidmat ka saboot hain.Is nek mein Ali Masjid ke zimmedar:Mohammad SalahuddinAli Hasan PatelFeroz PashaAfsar BaigAejazuddin Sahabaur dusre kai log bhi moujood the aur sab ne nawjawano ka hausla barhaya.— Ali Masjid ke nawjawaano ne ek martaba phir sabit kar diya ke khidmat aur insaniyat mein Gulbarga aage hai – aur ye group har mohalle ke liye ek misaal hai.—






